Wednesday, 16 October 2013

shree ram janmbhoomi mandir nirmaan ke liyae sansad kanoon banaye(part-2)

chaitanya shree

  • shree ram janmbhoomi mandir nirmaan ke liyae sansad kanoon banaye(part-2)
  • 4) 07 january 1993 ko tatkaleen rashtrapati mahoday ne sanvidhaan ki dhara 143ke antargat supreme court se apne ek prasn ka uttar chaha tha. unka prasntha ki "ayodhya me babri masjid jis asthaan par khadi thi , us asthan par iske nirmaan ke pehlae koi hindu dharmik bhavan athva koi hindu mandir tha , jise tod kar vah dhacha khada kiya gaya?..
  • 5)supreme court ne rastrapati ke prasn poochnae ka karan sarkar se janna chaha tha , tab bharat sarkar ke soliciter general ne 14 septemper 1994 ko shapat-patra ke madhyam se kaha tha ki -"yadi mahamahim dwara poochae gaye prasn ka uttar sakaratmak hota hai arthat ek hindu mandir/bhavan ko tod kar vivadit bhavan banya gaya tha to bharat sarkar hindu samaj ki bhavnao ke anuswar vaivhaar karegi. yadi iske viprit prasn ka uttar nakaraatmak aata hai arthaat koi hindu mandir bhavan 1528 ishwi ke pehlae vaha tha hi nahi to bharat sarkar ka vaivhaar muslim samaj ki bhavnao ke anuswar hoga(1964)6SSC383:ISMIAL FAROOQI BANAM BHARAT SARKAR)
  • 6) rastrapati mahoday ke prasn ka uttar khojnae ke liyae high court ne dharti ke neechae ki photography radaar tarango se karvaee, tatpaschaat bhartiyae puratatva vibhaag se utkhanan karvaya . photography report aur utkhanan report donho ne hi dhachae ke neechae ek vishaal hindu mandir hone ki baat sweekaar ki . inhi vaigyanik reporto ke aadhaar par nyaydheesho ne likha hai ki-
  • a)vivadit dhaacha kisi puranae bhavan ko vidhwansh karke usi asthaan par banaya gaya tha . puratatva vibhaag ne yah siddh kiya hai ki vah purana bhavan koi vishaal hindu dharmik asthal tha .....(nyaymurti dharamveer sharma)
  • b)vivadit dhacha babar ke dwara banaya gaya tha.........yah islaam ke niyamo ke virudh bana , isliyae yah masjid ka roop nahi le sakta (nayaymurti dharamveer sharma)
  • c)teen gumbado vaala yah dhacha kisi khaali pade banjar asthaan par nahi bana tha balki awaidh roop se ek hindu mandir /pooja -asthal ke upar khada kiya gaya tha.
  • d)ek gair -islamik dharmik bhavan ka nirmaan karaya gaya tha (nyaydheesh nayaymurty sudheer agrawaal)
  • e)pratyakch sakchyo ke aadhaar par yah siddha nahi kiya jaa saka ki nirmit bhavan sahit sampoorn vivadit parisar babar athva is masjid ko nirmaan kranae vale vaikti athva jiske aadesh ye yah bhavan banaya gaya, uski sampatti hai "nayaymurti s u khan ka yah niskarsh vivadit bhavan ke vakf hone par prasnchinh lagata hai .
  • 7)islaam ki manyatao ke anusar jor- jabardasti se prapt ki gayi bhoomi par padhi gayi namaaz allah sweekar nahi kartae hai aur na hi aisi sampatti allah ko samarpit (vakf)ki jaa sakti hai.kisi mandir ka vidhwans kark uske asthaan par masjid ke nirmaan karnae ki anumati kuran v islaam ki maanyataae nahi deti.nyaymurti dharamveer sharma ne kuran v islaam ki maanyatao ka ullekh kartae huae nirnay diya ki vijeeta babar ko bhi vivadit bhavan ko masjid ke roop me allah ko samarpit (vakf)karnae ka adhikaar nahi tha .
  • sesh(part -3 me varnan karoonga)

No comments: