Thursday 17 January 2013

bharat pak sambandho me galtiya(cong rajnitigyo dwara)

71 ki bharat pak udh me bharat ne pak ke 90 hajar sainiko ko pakad kar udh bandi bana liya tha jo  sharmnak har viswa ne kabhi nahi dekhi thi na suni thi,tab bharat ne in yudh bandiyo se aisa koi durvaivhar nahi kiya tha jo in pakistaniyo ne hamare in do jawano ke saath kiya.
             jab  71 ki udh me ye 90 hajar kaidi bharat ke paas the to indirajee ke mitr desh ke log salah de rahe the ki yah sunahra awsar hai,aap un 90 hazar logo ko  bina adhikrit kashmir liyae kabhi vapas na kare.log kahtae hai bhutto ne man hi man iski taiyari bhi kar lee thee.srimati gandhi ka jidd tha isse kam par samjhauta nahi hoga,lekin cong ke chamcho ne ye nahi hone diya.
             yah desh ka durbhagya hai ki hamare sainik khoon de kar jameen jeettae hai aurudh bandiyo ke kamar me rassa bandh kar le aatae hai, par netao ki galatfahmi dekhiyae,doordarshita to tha hi nahi.
             shimla samjhauta to hua lekin is raddi ke tukdae ke badlae humnae 90 hazar kaidi chod diyae,ye baat logo ko acchi na lage par meri nazar me yah samjhauta raddi ke tukdae se jyada kuch nahi hai.
             jab bhi kashmir ki baat aati hai to congressi shimla samjhauta ki baat kartae hai (chillatae hai) humlogo ne 30 din ke andar unke sare bandiyo ko chod diya tha kya unhone in40 varsho ke andar is samjhautae ka ek bhi dhara ka palan kiya hai.
             90 hajar jawano ki vapsi ke baad bhuto ne suraksha parishad me bhartiyae ko bhartiyae kuttae kah kar sambodhit kiya tha.,aur apni sena ,isi ke saath milkar yojna banai jise "bhutto plan" kaha jata hai.agar koi bhi bhartiyae is bhutto plan ko padh le jise apnae desh se pyar hai uski ek hi pratikriya hogi"nestaenaboot kar do in dustoo ko".
             udh ke maidan me hum jeetae magar table par par ladai har gaye.mumbai hamlae ke aroopiyo ko dandit karnae ke mamlae me pakistan ne abhi tak kuch nahi kiya hai,hum kewal haath milanae me lagae huae hai.

No comments: