Thursday 17 January 2013

FACTS AND HISTORY OF KASHMIR

SOME FACTS ON KASHMIR
26 OCTOBER 1947 KO MAHARAJA HARI SINGH NE BHARTIYAE swadheenta adhiniyam 1947 ke antargat jammu-kashmir ka bharat me vilay usi vaidhanik vilay patra ke aadhar par kiya jis par bharat ki sesh 568 riyasato ke rajao ne kiya tha.
2) bharat ke governer general ne 27 oct 1947 ko is vilay ko swikriti de di.ye vilay ssart nahi tha.bhartiyae swadheenta adhiniyam 1947 ke anusar is vilay par appati karnae ka adhikar sambhandit rajyo ke nivasiyo sahit kisi ko bhi nahi tha.
3)1951 me jammu kashmir ki sanvidhan sabha ka nirvachan hua. isi sanvidhan sabha ne 6 feb 1954 ko jammu kashmir ke bharat me vilay ki pushti kar di.1956 me sanvidhan sabha ne bharat ke sanvidhan ke anuched 370 ke antargat jammu -kahmir ka apna alag sanvidhan banane ki prakriya poorn ki. 26 jan 1957 ko yah sanvidhan jammu-kahmir kividhan sabha ki swikriti ke bad lagoo ho gaya.isi sanvidhan ki dhra 3 ke anuswar jammu-kashmir rajya bharat ka abhiinn ang hai aur rahega.dhara 4 ke anuswar jammu kashmir rajya me vah sara chetra shamil hai jo 15 agust 1947 tak rajya ke raja ke aadhipatya me tha.isi sanvidhan ki dhara 147 me yah aspast roop se kaha gaya hai ki dhara 3 v dhara 4 ko badla nahi ja sakta.
4) aspast hai ki jammu-kashmir ki janta, vidhansabha aur sarkar ne yah kanooni roop se mana hai ki sampoorn jammu - kasmir bharat ka abhinn ang hai.
5) 1975 me huae indra -seikh samjhautae me bhi jammu-kashmir ko bharat ka abhinn ang kaha gaya hai.
6) 22 feb 1994 ko bhartiyae sansad me ek sarwsammat prastav ke madhayam se sankalp dohraya gaya ki sampoorn jammu-kashmir bharat ka abhinn ang haiCollapse this post

No comments: