SANGH EK RASHTRABHAKT SANGATHAN
Sangh to hindu samaj ke sagathan,charitra nirman,dharm-sanskriti ke utthan,rashtra utthan, sewa sadhana v samajik samrasta ke pawan udeshya ko lekar apnae asthapnakal 1925 se hi matrabhoomi ki sewa me rat hai.vanvasi chetro se lekar gaon-nagar-kasbo ki vanchit bastiyo me ek lakh 50 hazar se jayada sewa karya uske sahbhag se desh ke kone-kone me chal rahe hai.
jab rahul gandhi sagh aur simi ko ek hi paldae me taultae hai to hansi aati hai ki rahul gandhi ko sangh to chodiyae, congress aur apnae poorwajo ka bhi itihas pata nahi.jo simi bharat me gajni ki vapsi ke sapnae dekhta hai, use sangh ke samkakch rakhna rahul gandhi ka desh ki pristhitiyo ke prati agyan hi darsata hai.
1962 ke bharat-china udh ke samay sangh ke karyakartao ne jo deshbhaktipoorn bhoomika nibhaye, usse prarit hokar tatkaalin pradhanmantri pandit nehru ne sangh ke poorn ganveshdhari swaimsewako ko 26 jan 1963 ko rajpath ki prade me shamil hone ka aagrah kiya. isi tarah 1965 me shree lal bahadur sastri ke pradhanmantritva kaal me bharat-pakistan udh ke samay dilli ki traffic vaivastha sangh ke swaimsewako dwara sambhalna aadi aise anek ghatnakram sangh ki rashtrabhakti v samajsewa ke pratyaksh udharan hai.
durbhagya se vote ki rajneeti ke chaltae sachaee ko nakar kar sangh ke bare me "muslim virodhi" v "sampradayik"jaisa dushpachar lagatar kiya jata raha hai aur sangh virodh muslimparast vote rajneeti ka ek pramukh htiyar ban gaya hai.jabki sangh muslim bhaiyo ke prati koi anadar bhav nahi rakhta hai.ye bhi to hamare poorwajo ke hi muslim me dharmantarit bhai hi hai,inse kaise vidweshita.sangh ne bharat ki hindu chetna ko nirantar urjawan kiya hai.muslim ya anya kisi mat -panth ke virudh nahi,.sangh ka maksad desh ka vikas aur uske swabhiman sampann sasakt rashtra ke roop me vishwa me pratistit karnae ka hai.
"hindu atankwad" jaise chadam sabd gadkar sangh ko unse jodna oochi chunavi rajneeti ke alawa aur kuch nahi hai."hindu atankvad" ya bhagwa atankwad ka naam dena rajnitik chalbaaji ke siwai aur kuch nahi hai. ise desh ka janmanas samajhta hai.use is jhoot aur brahma ke jaal me nahi phasaya ja sakta.sangh ke prati hindu samaj ke viswas v sahkar se yah aspast hai ki aise shadyantro de RSS ka marg avrudh nahi kiya ja sakta.sangh maa bharti ki sewa me apnae lakshya ke prati samarpit v dridh sankalpit rahtae huae samaj ke sahyog se nirantar aage badhta rahega aur rashtra mandir ke bhvya nirman me apni ssakt bhoomika ka nirvahan karta rahega.
No comments:
Post a Comment