Wednesday, 6 February 2013

FACTS OF RAM JANAM BHOOMI & SOLUTION


                                         FACTS OF RAMJANAM BHOOMI & SOLUTION  

-          BHARTIYAE SANVIDHAN KE TEESRAE  ADHYAY ME , JAHA MAULIK ADHIKARO KA ULLEKH HAI, SABSE UPAR SRI,RAM, SITA AIWAIM LAKSHMAN KE CHITRA BANE HAI, IN SABSE ASPASHT HAI KI SRI RAM BHARAT KI ATMA HAI.
-          JAB 1528 ISHWI ME MANDIR TODA GAYA USI SAMAY SE HINDUO NE SANGHARSH JARI RAKHA THA. SWARAJYA PRAPTI KE BAAD YAH VIVAD NAYALAY CHALA GAYA . GAT 30 SEPTEMBER , 2010 KO ALLAHABAD HIGH COURT KI LUCKNOW PEETH NE SANVIDHAN ME MANYA HINDU KANOON TATHA PURATATVA PRAMANO KE AADHAR PAR NIRNAY DIYA, ISME SUUNI BOARD KE DAVE KO ROORI TARAH NIRAST KAR TEENO NYAYDHEESHO NE EKMAAT SE MAANA HAI KI-(A)YAH ASTHAN HI RAM JANAM BHOOMI HAI.(B)1528 ME BABRI DHACHAE SE POORVA VAHA EK GAIR ISLAMIC (HINDU) MANDIR THA.
-          NAYALAY NE KAHA KI YADI KISI MANDIR KO TODKAR MASJID BANI HAI,TO USKE AVSHESH DHARTI KE NEECHAE AVASYA HONGE. USKE AADESH PAR CANADA KE VAIGYANIKO NE RADAR SARVECHAN SE BHOOMI KE NEECHAE KE CHITRA LIYAE. PRAPT CHITRO THATHA  INKI PUSHTI KE LIYAE HUAE UTKHANAN SE VAHA PRACHEEN MANDIR THA, YAH SIDDHA HUA.HIGH COURT KA NIRNAY 30 SEPT 2010 KA NIRNAY IN PRAMANO PAR HI AADHARIT THA.
-          1857  KE SWADHEENTA SANGRAM KE SAMAY SARDAR AMIR ALI KE NETRITVA ME ASTHANIYAE MULIM YAH ASTHAN CHODNAE KO TAIYAR HO GAYAE THE. IS VARTA  ME HINDUO KE PRATINIDHI BABA RAGHAV DAS THE, PAR ANGREJO NE HINDUO AUR MUSALMANO LADYAE  RAKHNAE KE LIYAE DONO KO PHASI DE DI. ISSE MAMLA PHIR LATAK GAYA.
-          HAMARA MANNA HAI KI JO MUSLIMO KE NAMAJ CHETRA JO HINDU KE ADHIKAR ME HAI HINDU UNHE LAUTA DE. ISI TARAH JO DHARMIK ASTHAN MUSLIMO KE KABJAE ME HAI VE HINDUO KO LAUTA DE.RAHA SWAL AYODHYA KA TO AGAR MUSLIM VIVADIT CHETRA CHODTAE HAI TO HINDUO KO UNKE LIYAE BHAVYA MASJID BANVA KAR EK BHAICHARE KA MISAL DUNIYA KE SAMNAE PRASTUT KARNA CHAHIYAE.SRIRAM KEVAL HINDUO KE HI NAHI BALKI ISAI AUR MUSLIMO KE BHI POORVAJO KE DEVTA RAHE HAI, YAH KARYA EK DOSRAE KE MANDIR MASJID BANVA KAR POORN HONA CHAHIYAE.

No comments: